ShaiKH Ke Haal Par Tassuf Hai
shaiKH ke haal par tassuf hai
shakl-e-rozi ki ek tasawwuf hai
jis ki auqat ho tasawwuf par
us ke is rozgar par tuf hai
jin ko dawa hai haq-shanasi ka
un se bande ko bhi taaruf hai
na to irfan ke un mein hain andaz
marifat se na kuchh tasharruf hai
kaisi tamil-e-hukm KHaliq ki
kaisa islam sad-tassuf hai
kaun se amar-e-din ko koi kahe
din ka din hi tasawwuf hai
din-e-ahmad se ho jo bahar baat
wahi is ahd mein tasawwuf hai
mal jo kuchh hai bewaqufon ka
shaiKH ka mal be-takalluf hai
hai 'asar' ye tasarruf-e-be-ja
aur koi nahin tasarruf hai
(1072) Peoples Rate This