Rote Hain Sun Ke Kahani Meri
rote hain sun ke kahani meri
kash sunte wo zabani meri
kaT gaya ghair mare nalon se
wah-ri saif-zabani meri
aaina dekh ke farmate hain
kis ghazab ki hai jawani meri
phir tumhein nind nahin aane ki
kahin sun li jo kahani meri
bar kiya panw teri mahfil mein
hai subuk tujh pe girani meri
hama-tan-gosh bane sunte hain
ghair kahta hai kahani meri
yaad aaunga jafa-karon ko
be-nishani hai nishani meri
iltija ek muqaddar do the
ghair ki mani na mani meri
hashr mein kuchh na hua mujh se sawal
wah-ri hech-madani meri
ab uThenge tere dar se mar kar
kabhi uThti nahin Thani meri
mere ashaar fughan-e-dil hain
qadr karta hai 'fughani' meri
KHusraw-e-mulk-e-suKHan-dani hun
dad hai baj-satani meri
dil mein poshida rahegi kab tak
aatish-e-shauq-e-nihani meri
tar-e-gesu se nazar ja uljhi
dekhna resha-dawani meri
dil ki haalat se KHabar deti hai
'asar' aashufta-bayani meri
(1379) Peoples Rate This