Mere Sar Mein Jo Raat Chakkar Tha
mere sar mein jo raat chakkar tha
us ke zanu pe ghair ka sar tha
apne ghar un ko kya bulate hum
boriya bhi nahin mayassar tha
zabt-e-dil par bhi us ki mahfil mein
apna rumal ashk se tar tha
jaan dene mein soch kya karte
muflisi par bhi dil tawangar tha
KHub-o-zisht-e-jahan ka farq na puchh
maut jab aai sab barabar tha
aap jab tak na le chuke the dil
kuchh mizaj aur banda-parwar tha
hijr lahiq hua visal ke baad
kya hi ulTa mera muqaddar tha
jaur-e-ada ki tab kya lata
dil-e-kam-baKHt naz-parwar tha
sohbat-e-hur se hui nafrat
main jo teri ada ka KHugar tha
hai 'asar' ya nahin KHuda jaane
sunte hain us ka haal abtar tha
(858) Peoples Rate This