Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_29f366f978a4411b0e419c4b2ee2622b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kab Ghair Hua Mahw Teri Jalwagari Ka - Imdad Imam Asar Poetry In English - Darsaal

Kab Ghair Hua Mahw Teri Jalwagari Ka

kab ghair hua mahw teri jalwagari ka

tu puchh mere dil se maza be-KHabari ka

sauda jo gul-o-lala ko hai jeb-dari ka

adna ye shagufa hai nasim-e-sahari ka

kis ne lab-e-baam aa ke dikhaya ruKH-e-raushan

KHurshid mein hai rang charagh-e-sahari ka

apni ye ghazal hai ki paristan-e-suKHan hai

parwaz-e-mazamin mein hai andaz pari ka

kuchh kam nahin nazuk mere mazmun-e-kamar se

shohra hai baja yar ki nazuk-kamari ka

ek raat bhi ai mah na jagi meri qismat

sunta tha bahut shor dua-e-sahari ka

jis ne mujhe aagah kiya haal-e-jahan se

kya lutf jamadat ko hai be-KHabari ka

ghurbat mein mila lutf kahin baDh ke watan se

hasil jo hua tujh se maza ham-safari ka

us mah ki mahfil mein jo hai qahqaha-zan aaj

hota hai bat-e-mai pe guman kabk-e-dari ka

quran kahe deta hai ki hum haq ki zaban hain

hota hai juda taur kalam-e-bashri ka

aadam ki to man bhi na thi ai munkir-e-eajaz

isa ko mila sirf sharaf be-pidri ka

sarw-e-qad-e-dilbar ki jo taswir hai dil par

ham-sang nahin lal-e-aqiq-e-shajari ka

aankhen hain hasinon ki tere sabza-e-ruKH par

kyunki na ho mailan ghazalon ko chari ka

chal tu bhi 'asar' le ke mata-e-dil-e-betab

wo dekhne jate hain tamasha guzari ka

(1063) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kab Ghair Hua Mahw Teri Jalwagari Ka In English By Famous Poet Imdad Imam Asar. Kab Ghair Hua Mahw Teri Jalwagari Ka is written by Imdad Imam Asar. Read famous Poem Kab Ghair Hua Mahw Teri Jalwagari Ka for youth and Student by Imdad Imam Asar. Free Download Kab Ghair Hua Mahw Teri Jalwagari Ka in PDF.