Jafaen Hoti Hain GhuTta Hai Dam Aisa Bhi Hota Hai
jafaen hoti hain ghuTta hai dam aisa bhi hota hai
magar hum par jo hai tera sitam aisa bhi hota hai
adu ke aate hi raunaq sidhaari teri mahfil ki
maaz-allah insan ka qadam aisa bhi hota hai
rukawaT hai KHalish hai chheD hai iza pe iza hai
sitam ahl-e-wafa par dam-ba-dam aisa bhi hota hai
hasinon ki jafaen bhi talawwun se nahin KHali
sitam ke baad karte hain karam aisa bhi hota hai
dil-e-mahjur aaKHir intiha hai har nahusat ki
kabhi saden hote hain baham aisa bhi hota hai
na kar shikwa hamari be-sabab ki bad-gumani ka
mohabbat mein tere sar ki qasam aisa bhi hota hai
na ho dard-e-judai se jo waqif us ko kya kahiye
hamein wo dekh kar kahte hain gham aisa bhi hota hai
buton ke milne-julne par na jaana ai dil-e-nadan
baDha kar rabt kar dete hain kam aisa bhi hota hai
hamein bazm-e-adu mein wo bulate hain tamanna se
karam aisa bhi hota hai sitam aisa bhi hota hai
jagah di mujh ko kabe mein KHuda-e-pak ne zahid
tu kahta tha ki maqbul-e-haram aisa bhi hota hai
hua karta hai sab kuchh ai 'asar' us ki KHudai mein
karen dawa KHudai ka sanam aisa bhi hota hai
(1088) Peoples Rate This