Dil Se Kya Puchhta Hai Zulf-e-girah-gir Se Puchh
dil se kya puchhta hai zulf-e-girah-gir se puchh
apne diwane ka ahwal tu zanjir se puchh
meri jaan-bazi ke jauhar nahin raushan tujh par
kuchh khule hain teri shamshir pe shamshir se puchh
pursish-e-haal ko jati hai kahan ai laila
qais ki shakl hai kya qais ki taswir se puchh
waqif-e-raaz nahin pir-e-mughan sa koi
hai dila puchhna jo kuchh tujhe us pir se puchh
waqif-e-lazzat-e-azar nahin har koi
kya maza gham mein hai ye aashiq-e-dil-gir se puchh
garmi-e-shauq nahin hai to dahan mein ai shama
kis liye teri zaban leta hai gul-gir se puchh
ulTi kyun paDti hai tadbir ye hum kya jaanen
kaun ulaT deta hai is raaz ko tadbir se puchh
mujh se ai dawar-e-mahshar hai ye pursish kaisi
puchhna hai tujhe jo kuchh meri taqdir se puchh
yun to ustad-e-fan-e-sher bahut se guzre
kis ko kahte hain ghazal-goi 'asar' 'mir' se puchh
(986) Peoples Rate This