Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_202af02376f25c15279f235b2901ee18, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dil Sang Nahin Hai Ki Sitamgar Na Bhar Aata - Imdad Imam Asar Poetry In English - Darsaal

Dil Sang Nahin Hai Ki Sitamgar Na Bhar Aata

dil sang nahin hai ki sitamgar na bhar aata

karte na agar zabt to munh tak jigar aata

tu fatiha-KHwani ko agar qabr par aata

marne se mere ghair ka matlab na bar aata

ai qais agar dasht mein tu rah par aata

sau bar tujhe naqa-e-laila nazar aata

taKHsis na thi tur ki ai hazrat-e-musa

har sang mein wo nur-e-tajalli nazar aata

hoti chaman-ara-e-azal ki jo mashiyyat

apne shajar-e-ishq ka waqt-e-samar aata

be-kar na kar raat basar muntazari mein

aana use hota to wo ab tak 'asar' aata

(796) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Sang Nahin Hai Ki Sitamgar Na Bhar Aata In English By Famous Poet Imdad Imam Asar. Dil Sang Nahin Hai Ki Sitamgar Na Bhar Aata is written by Imdad Imam Asar. Read famous Poem Dil Sang Nahin Hai Ki Sitamgar Na Bhar Aata for youth and Student by Imdad Imam Asar. Free Download Dil Sang Nahin Hai Ki Sitamgar Na Bhar Aata in PDF.