Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_3ec67bd5aadcc32fa7e32299f88e9f6f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Bahe Sath Ashk Ke LaKHt-e-jigar Tak - Imdad Imam Asar Poetry In English - Darsaal

Bahe Sath Ashk Ke LaKHt-e-jigar Tak

bahe sath ashk ke laKHt-e-jigar tak

na ki us ne meri jaanib nazar tak

abas sayyaad ko hai bad-gumani

nahin bazu mein apne ek par tak

KHabar aai mariz-e-dard-o-gham ki

kahin pahunche KHabar us be-KHabar tak

nazakat se lagi bal karne kya kya

abhi gesu na pahunche the kamar tak

jiye jate hain shakl-e-sham-e-sozan

na kuchh baqi rahenge hum sahar tak

agar main yaad hota to na aate

magar bhule se aae mere ghar tak

dam-e-girya thi ghaalib na-tawani

pahunchte laKHt-e-dil kya chashm-e-tar tak

KHuda jaane 'asar' ko kya hua hai

raha karta hai chup do do pahar tak

(925) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahe Sath Ashk Ke LaKHt-e-jigar Tak In English By Famous Poet Imdad Imam Asar. Bahe Sath Ashk Ke LaKHt-e-jigar Tak is written by Imdad Imam Asar. Read famous Poem Bahe Sath Ashk Ke LaKHt-e-jigar Tak for youth and Student by Imdad Imam Asar. Free Download Bahe Sath Ashk Ke LaKHt-e-jigar Tak in PDF.