Apne Dar Se Jo UThate Hain Hamein
apne dar se jo uThate hain hamein
KHak mein aap milate hain hamein
hai jo manzur jafa dar-parda
munh wo ghairon mein dikhate hain hamein
ghair ko pas biTha rakhte hain
jab kabhi aap bulate hain hamein
garmiyan ghair ko dikhla dikhla
bazm mein aap jalate hain hamein
shab-e-furqat mein falak ke tare
dagh-e-dil yaad dilate hain hamein
un ke andaz-e-suKHan hain malum
ghair ko kah ke sunate hain hamein
phir kisi gul pe hua dil mail
dagh-e-taza nazar aate hain hamein
chhoD den aap ki hamrahi hum
wah kya rah batate hain hamein
tu hamein rah batae jis se
ghair wo rah batate hain hamein
itr-e-gul se nahin jab dil bharta
apna rumal sunghate hain hamein
shab ko afsana-e-dil kah ke 'asar'
aap rote hain rulate hain hamein
(732) Peoples Rate This