Jo Narm Lahje Mein Baat Karna Sikha Gaya Hai
jo narm lahje mein baat karna sikha gaya hai
wo shaKHs 'imdad' mujh ko kundan bana gaya hai
mohabbaton ke nagar se aaya tha jo payami
gira ke diwar nafraton ki chala gaya hai
main wo musafir hun jis ka koi nahin Thikana
ye na-rasai ka zaKHm mujh ko rula gaya hai
musalahat ka paDha hai jab se nisab main ne
saliqa duniya mein zinda rahne ka aa gaya hai
yahan ke karbal mein koi tishna-dahan nahin hai
wo fauj nahr-e-furaat par kyun biTha gaya hai
main us musafir ko yaad kar ke mutmain hun
jo Dher sari duaen de ke chala gaya hai
(975) Peoples Rate This