Ne Aadmi Pasand Na Isko KHuda Pasand
ne aadmi pasand na is ko KHuda pasand
hai aaine mein qaid mera aaina-pasand
do-chaar din bhi hum se nibahi nahin gai
wo mo'tadil mizaj tha main intiha pasand
wo KHud-fareb shaKHs tha patthar-shanas tha
aaya na us ko koi bhi apne siwa pasand
puchhe hai hum ne kahe kiya kufr iKHtiyar
ghaflat pasand hai na hamein aasra pasand
ghaugha-e-marg chaaron taraf phailne laga
kya is jahan ko chhoD gae baadiya-pasand
us par hi bhejta hai wo aafat bhi maut bhi
shayad use gharib ka bachcha hai na-pasand
aakash ek shaKHs hai duniya se muKHtalif
pahli nazar mein hi tumhein aa jaega pasand
(975) Peoples Rate This