Zor Hai Garmi-e-bazar Tere Kuche Mein
zor hai garmi-e-bazar tere kuche mein
jama hain tere KHaridar tere kuche mein
dekh kar tujh ko qadam uTh nahin sakta apna
ban gae surat-e-diwar tere kuche mein
panw phailae zamin par main paDa rahta hun
surat-e-saya-e-diwar tere kuche mein
go tu milta nahin par dil ke taqaze se hum
roz ho aate hain sau bar tere kuche mein
ek hum hain ki qadam rakh nahin sakte warna
ainDate phirte hain aghyar tere kuche mein
pasbanon ki tarah raaton ko be-tabi se
nale karte hain hum ai yar tere kuche mein
aarzu hai jo marun main to yahin dafn bhi hun
hai jagah thoDi si darkar tere kuche mein
gar yahi hain tere abru ke ishaare qatil
aaj-kal chalti hai talwar tere kuche mein
haal-e-dil kahne ka 'nasiKH' jo nahin pata bar
phenk jata hai wo ashaar tere kuche mein
(972) Peoples Rate This