Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ab10c3f8dbecf1f164edff384e1cab30, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tu Ne Mahjur Kar Diya Hum Ko - Imam Bakhsh Nasikh Poetry In English - Darsaal

Tu Ne Mahjur Kar Diya Hum Ko

tu ne mahjur kar diya hum ko

saKHt ranjur kar diya hum ko

apni barq-e-nigah se tum ne

shajar-e-tur kar diya hum ko

dil bana aashiqi mein KHud-muKHtar

aur majbur kar diya hum ko

aisi tarif ki ki ai waiz

aashiq-e-hur kar diya hum ko

gham nahin mohtasib jo toD ke KHum

nashshe ne chur kar diya hum ko

jis qadar hum se tum hue nazdik

us qadar dur kar diya hum ko

kabhi bar-e-gham-e-firaq utar

tu ne mazdur kar diya hum ko

ho gaya mai se nasha-e-irfan

nar ne nur kar diya hum ko

the to maqhur hone ke laeq

bare maghfur kar diya hum ko

(910) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tu Ne Mahjur Kar Diya Hum Ko In English By Famous Poet Imam Bakhsh Nasikh. Tu Ne Mahjur Kar Diya Hum Ko is written by Imam Bakhsh Nasikh. Read famous Poem Tu Ne Mahjur Kar Diya Hum Ko for youth and Student by Imam Bakhsh Nasikh. Free Download Tu Ne Mahjur Kar Diya Hum Ko in PDF.