Sab Hamare Liye Zanjir Liye Phirte Hain
sab hamare liye zanjir liye phirte hain
hum sar-e-zulf-e-girah-gir liye phirte hain
kaun tha said-e-wafadar ki ab tak sayyaad
baal-o-par us ke tere tir liye phirte hain
tu jo aae to shab-e-tar nahin yan har su
mishalen nala-e-shab-gir liye phirte hain
teri surat se kisi ki nahin milti surat
hum jahan mein teri taswir liye phirte hain
moatakif garche ba-zahir hun tasawwur mein magar
ku-ba-ku sath ye be-pir liye phirte hain
rang-e-KHuban-e-jahan dekhte hi zard kiya
aap zor aankhon mein iksir liye phirte hain
jo hai marta hai bhala kis ko adawat hogi
aap kyun hath mein shamshir liye phirte hain
sar-kashi shama ki lagti nahin gar un ko buri
log kyun bazm mein gul-gir liye phirte hain
ta gunahgari mein hum ko koi matun na kare
hath mein nama-e-taqdir liye phirte hain
qasr-e-tan ko yun hi banwa ye bagule 'nasiKH'
KHub hi naqsha-e-tamir liye phirte hain
(1238) Peoples Rate This