Rifat Kabhi Kisi Ki Gawara Yahan Nahin
rifat kabhi kisi ki gawara yahan nahin
jis sar-zamin ke hum hain wahan aasman nahin
do roz ek waza pe rang-e-jahan nahin
wo kaun sa chaman hai ki jis ko KHizan nahin
ibrat ki ja hai lakhon hi tifl o jawan nahin
piri mein bhi KHayal ajal ka yahan nahin
dushman agar wo dost hua hai to kya ajab
yan e'timad-e-dosti-e-jism-o-jaan nahin
raftar naz mein ye lachak jati hai ki bas
goya teri kamar mein sanam ustuKHan nahin
munim ke shukr mein bhi hilaen kabhi kabhi
tanha barae-lazzat-e-duniya zaban nahin
pazhmurda ek hai to shagufta hai dusra
bagh-e-jahan mein fasl-e-bahaar-o-KHizan nahin
jin ke suron par aap magas-raan rahe huma
un ka lahad mein aaj koi ustuKHan nahin
dhoka na kha zuruf-e-wazu ko tu dekh kar
masjid hai mai-farosh ki 'nasiKH' dukan nahin
(902) Peoples Rate This