Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_62b5c21a04034b09244be6de1f2c0373, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jaan Hum Tujh Pe Diya Karte Hain - Imam Bakhsh Nasikh Poetry In English - Darsaal

Jaan Hum Tujh Pe Diya Karte Hain

jaan hum tujh pe diya karte hain

nam tera hi liya karte hain

chaak karne ke liye ai naseh

hum gareban siya karte hain

saghar-e-chashm se hum baada-parast

mai-e-didar piya karte hain

zindagi zinda-dili ka hai nam

murda-dil KHak jiya karte hain

sang-e-aswad bhi hai bhaari patthar

log jo chum liya karte hain

kal na dega koi miTTi bhi unhen

aaj zar jo ki diya karte hain

dafn mahbub jahan hain 'nasiKH'

qabren hum chum liya karte hain

(1306) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaan Hum Tujh Pe Diya Karte Hain In English By Famous Poet Imam Bakhsh Nasikh. Jaan Hum Tujh Pe Diya Karte Hain is written by Imam Bakhsh Nasikh. Read famous Poem Jaan Hum Tujh Pe Diya Karte Hain for youth and Student by Imam Bakhsh Nasikh. Free Download Jaan Hum Tujh Pe Diya Karte Hain in PDF.