Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_742443f7284410a4c1ff4f7928a2d934, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hain Ashk Meri Aankhon Mein Qulzum Se Zyaada - Imam Bakhsh Nasikh Poetry In English - Darsaal

Hain Ashk Meri Aankhon Mein Qulzum Se Zyaada

hain ashk meri aankhon mein qulzum se zyaada

hain dagh mere sine mein anjum se zyaada

sau ramz ki karta hai ishaare mein wo baaten

hai lutf KHamoshi mein takallum se zyaada

juz sabr dila chaara nahin ishq-e-butan mein

karte hain ye zulm aur tazallum se zyaada

mai-KHane mein sau martaba main mar ke jiya hun

hai qulqul-e-mina mujhe qum-qum se zyaada

sau raqs se afzun hai pari-ru teri raftar

panw ki sada lakh tarannum se zyaada

taklif-e-takalluf se kiya ishq ne aazad

mu-e-sar-e-shorida hain qaqum se zyaada

mashuqon se ummid-e-wafa rakhte ho 'nasiKH'

nadan koi duniya mein nahin tum se zyaada

(959) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hain Ashk Meri Aankhon Mein Qulzum Se Zyaada In English By Famous Poet Imam Bakhsh Nasikh. Hain Ashk Meri Aankhon Mein Qulzum Se Zyaada is written by Imam Bakhsh Nasikh. Read famous Poem Hain Ashk Meri Aankhon Mein Qulzum Se Zyaada for youth and Student by Imam Bakhsh Nasikh. Free Download Hain Ashk Meri Aankhon Mein Qulzum Se Zyaada in PDF.