Hai Dil-e-sozan Mein Tur Uski Tajalli-gah Ka
hai dil-e-sozan mein tur us ki tajalli-gah ka
ru-e-atishnak har shola hai meri aah ka
wasl kya hum KHaksaron ko ho is dil-KHwah ka
KHak mein aaluda hona kab hai mumkin mah ka
nur-afshan jab se hai dil mein KHayal us mah ka
tur ka shola dhuan hai meri sham-e-ah ka
qamat-e-mauzun nazar aae mujhe ja-e-alif
tha shuru-e-ashiqi din meri bismillah ka
samjhe mai-kash dekh kar abru teri baala-e-chashm
mai-kade se martaba aala hai baitullah ka
aamad-e-KHat mein to hone de nigahon ka guzar
dekh le bachne nahin pata hai sabza rah ka
KHalq ne quran dekha jab hua mah-e-rajab
hum ne dekha mushaf-e-ruKHsar apne mah ka
aate hi us tifl ke raushan siyah-KHana hua
shama san jalwa hai us ke qamat-e-kotah ka
yar ka 'nasiKH' phaTa hai pairahan to aib kya
hai katan ko chaak karna kaam nur-e-mah ka
(938) Peoples Rate This