Tumhaare Jate Hi Har Chashm-e-tar Ko Dekhte Hain
tumhaare jate hi har chashm-e-tar ko dekhte hain
hai aansuon ka samundar jidhar ko dekhte hain
'faraaz' ho gae ruKHsat jahan-e-fani se
udas udas suKHan ke safar ko dekhte hain
kahan wo ishq-e-jawan ki Thahar gain kirnen
ruki ruki hui baad-e-sahar ko dekhte hain
suna hai 'faiz' se aage nikal gae the 'faraaz'
ghazal ke soz-e-darun ke asar ko dekhte hain
suna hai us ne ghazal ka badal diya lahja
sabhi 'faraaz' ke fikr-o-nazar ko dekhte hain
suna hai us ki ghazal aaina thi hasti ka
isi liye to hum us aaina-gar ko dekhte hain
sajaya us ne hunar se jo apni ghazlon ko
suna hai log ab us ke hunar ko dekhte hain
kahan 'faraaz' kahan 'azam'-e-shikasta-jaan
zara sa chal ke hum us ki Dagar ko dekhte hain
(1020) Peoples Rate This