Shahar Mein Ole PaDe Hain Sar Salamat Hai Kahan
shahar mein ole paDe hain sar salamat hai kahan
is qadar hai tez aandhi ghar salamat hai kahan
raat ne aisi siyahi ab bikheri chaar-su
aankh walon ke liye manzar salamat hai kahan
aap kahte hain chhupa lun apni uryani magar
jism se lipTi hui chadar salamat hai kahan
qulqul-e-mina se apni pyas to bujhti nahin
chur sab shishe hue saghar salamat hai kahan
reza reza ho gai har shaKHs ki pakizgi
sang-sari ke liye patthar salamat hai kahan
koi chehra asl surat mein rahe baqi to kyun
but-shikan ke ahd mein aazar salamat hai kahan
har taraf ek jang ka mahaul hai 'azam' yahan
aadmi ab ghar ke bhi andar salamat hai kahan
(1010) Peoples Rate This