Qad BaDhane Ke Liye Baunon Ki Basti Mein Chalo

qad baDhane ke liye baunon ki basti mein chalo

ye nahin mumkin to phir bachchon ki basti mein chalo

sabr ki chadar ko oDhe KHwab-gahon mein raho

sach ki duniya chhoD kar wadon ki basti mein chalo

jab bhi tanhai ke hangamon se dam ghuTne lage

bhiD mein gum ho ke an-jaanon ki basti mein chalo

Dal rakkhi hai KHirad-mandon ne chehron par naqab

is liye kahta hun diwanon ki basti mein chalo

ungliyon ki zarb se saz-e-sukun ko toD kar

jab junun had se baDhe, rishton ki basti mein chalo

ek tumhaari ye qayaadat mo'tabar rah jaegi

hath mein patthar liye shishon ki basti mein chalo

bhiD se 'azam' yahan milna-milana chhoD kar

martaba ke waste pardon ki basti mein chalo

(943) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qad BaDhane Ke Liye Baunon Ki Basti Mein Chalo In English By Famous Poet Imam Azam. Qad BaDhane Ke Liye Baunon Ki Basti Mein Chalo is written by Imam Azam. Read famous Poem Qad BaDhane Ke Liye Baunon Ki Basti Mein Chalo for youth and Student by Imam Azam. Free Download Qad BaDhane Ke Liye Baunon Ki Basti Mein Chalo in PDF.