Mausam Sukha Sukha Sa Tha Lekin Ye Kya Baat Hui
mausam sukha sukha sa tha lekin ye kya baat hui
kewal us ke kamre mein hi raat gae barsat hui
main ne samjha, us ne samjha, bhiD mein bhi KHamoshi thi
dekhne wale kuchh bhi na samjhe lekin phir bhi baat hui
bin mange mil jae moti to is ko taqdir kaho
daman phaila kar duniya mil jae to KHairaat hui
sankaT ke din the to sae bhi mujh se katraate the
sukh ke din aae to dekho duniya mere sat hui
jiwan ke is khel mein apna gyan bhi dhoka deta hai
ulTe sare daw hamare shah bhi di to mat hui
jate jate tanhai ka gham dene wo aae the
tum hi bolo kya ye un ki ulfat ki saughat hui
'azam' bhulna chahe bhi to ab tak bhul na pae wo
un ki yaadon se wabasta aise meri zat hui
(1028) Peoples Rate This