Jo Maze Aaj Tere Gham Ke Azabon Mein Mile
jo maze aaj tere gham ke azabon mein mile
aisi lazzat kahan saqi ki sharabon mein mile
sari duniya se nahin un ko hai parda lekin
wo mile jab bhi mile mujh ko naqabon mein mile
teri KHushbu se moattar hai zamana sara
kaise mumkin hai wo KHushbu bhi gulabon mein mile
zindagani mein nasihat nahin kaam aati hai
dars-e-aKHlaq faqat mujh ko kitabon mein mile
main ne phulon se bhi nazuk se sawalat kiye
mujh ko patthar se hi alfaz jawabon mein mile
pyar ke bab mein ab nam kahan hai tera
koi tahrir-e-wafa kaise nisabon mein mile
kya pata kal jo baDi shan mein gum tha 'azam'
ab wahi shaKHs tujhe KHana-KHarabon mein mile
(868) Peoples Rate This