Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_7a72ad248207002a6ac62e7a3d3024c2, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jaane Wale Itna Bata Do Phir Tum Kab Tak Aaoge - Imam Azam Poetry In English - Darsaal

Jaane Wale Itna Bata Do Phir Tum Kab Tak Aaoge

jaane wale itna bata do phir tum kab tak aaoge

phul bhi ab murjhane lage hain, bolo kab apnaoge

dil ke is album mein to ab bas taswir tumhaari hai

man mandir ke dwar pe apne tum bhi kuchh laTkaoge

raat ki tanhai mein jab bhi yaad hamari aaegi

nind tumhaari uD jaegi aur bahut ghabraoge

pairon ki zanjiren kaTo aur himmat se kaam bhi lo

warna qaid mein rah kar yun hi jiwan bhar pachhtaoge

duniya ki ek rit purani, milna aur bichhaDna hai

ek zamana bit gaya hai tum kab milne aaoge

ab nahin aata hai sandesa koi tumhaari nagri se

kis ko tha malum ki tum begane se ho jaoge

phulon ke din bit na jaen aao aao aa bhi jao

kab tak jhuTe wadon se tum 'azam' ko bahlaoge

(1287) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaane Wale Itna Bata Do Phir Tum Kab Tak Aaoge In English By Famous Poet Imam Azam. Jaane Wale Itna Bata Do Phir Tum Kab Tak Aaoge is written by Imam Azam. Read famous Poem Jaane Wale Itna Bata Do Phir Tum Kab Tak Aaoge for youth and Student by Imam Azam. Free Download Jaane Wale Itna Bata Do Phir Tum Kab Tak Aaoge in PDF.