Gard-o-ghubar Dhup Ke Aanchal Pe Chha Gae

gard-o-ghubar dhup ke aanchal pe chha gae

aur ghan-garaj ke shor bhi baadal pe chha gae

ab to koi kanwal nahin khilta hai jhil mein

ab kanTe-dar barg hi jal-thal pe chha gae

wo so nahin sakega kisi pal sukun se

jab waswase bhi aankhon ke kajal pe chha gae

bijli sitare chand shafaq aur dhup chhanw

kaise zamin ke barhana jangal pe chha gae

'azam' ise wo kahte hain rangon ka ek fan

jab dagh dhabbe farsh ke maKHmal pe chha gae

(854) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gard-o-ghubar Dhup Ke Aanchal Pe Chha Gae In English By Famous Poet Imam Azam. Gard-o-ghubar Dhup Ke Aanchal Pe Chha Gae is written by Imam Azam. Read famous Poem Gard-o-ghubar Dhup Ke Aanchal Pe Chha Gae for youth and Student by Imam Azam. Free Download Gard-o-ghubar Dhup Ke Aanchal Pe Chha Gae in PDF.