Ye Bahaar Wo Hai Jahan Rahi Asar-e-KHizan Se Bari Rahi
ye bahaar wo hai jahan rahi asar-e-KHizan se bari rahi
jo salib-o-dar mein Dhal gai wahi chob-e-KHushk hari rahi
mili jab kabhi KHabar-e-jahan to jahan se be-KHabari rahi
kisi aur se nahin kuchh gila KHajil apni dida-wari rahi
wahi ek KHarabi-e-be-karan jo tere jahan ka nasib hai
isi rust-o-KHez se aaj tak mere dil mein be-KHatari rahi
meri zindagi ki urus-e-nau tujhe is ki koi KHabar bhi hai
wo thi kis ki surKHi-e-KHun-e-dil teri mang mein jo bhari rahi
koi qarya koi dayar ho kahin hum akele nahin rahe
teri justuju mein jahan gae wahin sath dar-badari rahi
wahi aag apna nasib thi ki tamam umr jala kiye
jo lagai thi kabhi ishq ne wahi aag dil mein bhari rahi
wahi ek sadaqat-e-harf thi khili phul ban ke jo aag mein
wahi ek dalil-e-hayat thi jo gawah-e-ba-KHabari rahi
na asar fusun koi kar saka na wo mere dil mein utar saka
koi aks hi na ubhar saka raha shisha aur na pari rahi
main halak-e-lazzat-e-guftugu hi sahi magar ise kya karun
jo faraaz-e-dar se ki gai wahi ek baat khari rahi
hunar aaj 'ishqi'-e-be-nawa ka KHajil hai ruh-e-'siraj' se
wahi ek KHalish jo mata-e-fan thi subut-e-be-hunari rahi
(993) Peoples Rate This