Prit-nagar Ki Rit Nahin Hai Aisa Ochha-pan Baba
prit-nagar ki rit nahin hai aisa ochha-pan baba
itni sudh-budh kis ko yahan jo soche tan-man-dhan baba
un ki koi Thor nahin hai sanjh kahin hain bhor kahin
prit ke roge banjare hain basti ho ya ban baba
lakh jatan se juD na sakega pahle batae dete hain
TuT gaya to TuT gaya bas man ka ye darpan baba
us ki baalak-haT ke aage ghar chhoDa bairag liya
dekhen kya din dikhlata hai ab ye murakh man baba
bin jo apne pas na hoti hum jogi bhi bhaTak jate
kya kya rup badal kar aai maya ki nagan baba
hum jo magan hain dhyan mein apne us ko bhi dhoka jaano
kis se suljhi sans ke tane-bane ki uljhan baba
ab dukh-sukh ka bhed batane aae ho jab 'ishqi' ka
prit dharm hai prit karam hai prit se hai jiwan paya
(994) Peoples Rate This