Zist-mizajon Ka Nauha
resha-e-ashk pe Tanke hue hum barg-e-malal
qarya-e-wahshat o uftad mein hain KHema-ba-dosh
apne hisse ki jahangiri uTha lae hain
kya KHabar kaun nazar turfa masihai ho
kaun sa zahr tere hijr ka tiryaq bane
bas isi kar-e-faraghat pe hai mamur ye dil
jis pe khulte nahin asrar-e-talluq na mizaj
apni hi dhan mein subuk-KHez chala jata hai
ek andesha-e-ijaz-e-talatum ki taraf
jis ki tahzib pe tahrir hain name tere
sahira dekh kabhi zist-mizajon ki taraf
dekh kya rang tere KHak-nashinon ka hua
par tujhe fursat-e-nazzara-e-KHashak nahin
teri aankhon mein farozan hai sitaron ka wafur
hum ki be-nur charaghon ke KHarashida badan
apni hi lau ki saKHawat se jale baiThe hain
hum jahangir-mizajon mein luTe baiThe hain
(1015) Peoples Rate This