Yar Parinde!
yar parinde! yahin kahin tha nim ke peD ka dayar
miTTi ki kachchi diwaren chandi jaise yar
yassu punju haar kabutar, kanche wanche, tash
jitne wale nalan, haarne wale the KHush-bash
ulTe tawe ki roTi sath mein khaTTa miTha sag
makkhan ki Daliyon mein jaise man ke pyar ka rag
do kamron ke ghar mein itne ghane ghanere log
nim ki chhanw banTne aate ganw bhar ke log
ghar ka darwaza tha sanjha jaise ghar ki man
sahn mein itni wusat hoti jaise ek jahan
yar parinde! ganw wahi hai waisa nim ka peD
diwaron par kanch jaDe hain darwazon par qufl
sham Dhale hi chaupalen ho jati hain sunsan
changiron ki basi roTi aur Dabbe ka dudh
hawa huin makkhan ki Daliyan hawa hua wo pyar
yar parinde! nim ke peD ki baaton mein mat aa
pas ke jangal mein zaghon ke Dere par sau ja
(973) Peoples Rate This