Shahi Badla
kase hue ektare par hain gende ke do phul
mehndi lage hathon par hire moti jaDe do naqsh
bansuri ke honTon se nikle aaThwin sur ka git
sham amaltason ki sunae taza taza nazm
aaine mein gori ke umrao-jaan sa rup
aankhon mein be-tab tamanna dhaDkan hai be-rabt
dur samay ke par se aane wala hai shahzada
gard uDati rath se utra aaKHir ek jawan
achkan par hai saja hua surKHab ka nila par
pan supari chuna kattha resham resham jism
Dhol ki thap pe raqsan ghungru aur gori ka dil
mahal-sara ki diwaron par hai pyas ka miTha rang
jism se nikla nikla jae gori ka har ang
shahzade ki sanson mein sandal ke araq ki bas
rath-banon ki ragon mein an jaane lamhon ka kaif
jism aur jam ki ranai mein haar ka dard-e-fana
shahzade ke sine par hain raqqasa ke ashk
irani qalin par raqsan raqqasa ka KHun
darwaze ke bahar laTka jang mein haar ka dagh
shahzade ke honTon par hai fateh ki muskan
(983) Peoples Rate This