KHwaja-sara
resha resha git ka goTa har ek ang mein raqs
sans ke bhitar koyal bole panchhi jaisa shaKHs
ungli ke chhalle mein raj kamal ke gore pankh
hae re mori pit nigoDi hae re more pankh
galon par ghaze ke pichhe dard ke sukhe phul
lachkili banhon ki shaKHon par nafrat ki dhul
Thumri ke bolon mein pinhan aklape ka bain
din aankhon mein kaT jata hai kaise kaTe ye rain
qaus-e-quzah se pairahan mein sundar sundar jism
honTon ki phislan par girta paDta kora ism
kali kali qismat un ki nile pile KHwab
itne rangon mein apni pahchan bhi ek azab
(1033) Peoples Rate This