Hamare Din Guzar Gae
gharon mein koi peD hai na motiye ki bail hai
na dal ko baghaarti hui jawan laDkiyan
ki sab chalan badal gaya
faraghaton ke din gae
gain wo kunj-e-waqt ki safed rish saaten
shajar ki rahdariyan ujaD gain
ghani dopahar mein khuli khuli si dhup ka safar bhi ruk gaya
gali ke surKH moD par
kanar-e-sham nuqrai libas mein jamalti hui sharir apsara nahin rahi
wo rish mein gundhe hue
badan ka KHam zamin par utarte hue zaif laThiyon pe Dolte
KHamida sar nahin rahe
wo tyron se khelta ghubar uData bachpana
wo sanwle hijab mein safed muskurahaTen
haya ki sabz katranen ki jin pe surKH motiyon ka nilgun lihaf tha
na-jaane kaun samt hain
jale bujhe se dip hain nazar ki rahguzar mein
zara zara si raushni ki jis mein KHam ujlaten
badan ke dagh sinchtin
jhuke jhuke mizaj par tani tani si uljhanen
dalil se wara hai sari guftugu ka saneha
zara zara si zindagi baDa baDa sa KHauf hai
labon ke surKH baam par malal-e-raftagan nahin
firasaton ka qaht hai
malamaton ka ahd hai
hamein fareb-e-zindagi zara sa kaam kya paDa
hamare din guzar gae
(1302) Peoples Rate This