Ghair-nisabi TariKH
shahi darbar main KHadim-e-KHas ka elan
taKHliya
raqs-e-junun-KHez pe nau-KHez badan
shahr main aadam-e-KHaki kai lahu ki qimat
dene aae hain mahaaraj ke maiKHane main
rang aur nur ki barsat ke beach
kaun dekhega be-sar ki lashen
nau-badan jam-e-tahayyur ka naya zaiqa hain
jan pe do-laKHt kiye jate hain mulkon ke badan
shahi darbar mein mahaaraj ka elan
sahibo
dhund ki tahzib ka parchaar karo
jin par nare hain likhe ghar wo tah-e-KHak karo
shahr mein gunje faqat naghma-e-tausif-e-riya
hurmat-e-harf ho paband-e-shikoh-e-aiwan
zikr mat ho kahin jalte hue KHiyam ka bas
sirf tariKH main chamke mera farman-e-shahi
shahi darbar mein wazir-e-ba-tadbir ka mashwara
taKHliya
sahibo ye waqt hai sarshaari ka
faisle kal pe uTha rakhte hain mustaqbil ke
is samay shahr mein barpa karo jadu koi
log masruf rahen waqt guzar jae bas
KHak ho jaengi sadiyan yunhi qadmon ke tale
shahi darbar mein mahaaraj ka muKHbir-e-KHas ko hukm
lahn-e-salar bata haal zamane ka mujhe
us mein bas mujh ko bata meri KHabar ki babat
mat suna KHasta zamanon ki shikasta baaten
lafz likh mere liye nok-e-qalam se aur phir
shahar-bhar mein yahi tariKH munadi kar de
waqt ke sare moarriKH karen baiat us ki
phul par KHun nahin tha wo nam-e-shabnam tha
ek KHamosh riyazat thi ajal ka chakkar
be-badan KHwab the tahzib ka nau-rafta-mizaj
shahi darbar se bahar reaya ka mizaj
dosto yun hi salamat rahe aiwan ka waqar
rizq malta rahe ranai ka aankhon ko yunhi
yun hi baTti rahe KHairaat-e-kafan gard-e-yaqin
yun hi milti rahe qabron ke liye muft zamin
dosto yun hi salamat rahe aiwan ka waqar
(1044) Peoples Rate This