Aadmi
la-intiha jahan-e-mujassam se bhi siwa
la-muntaha zamanon mein rahte hue ye abad
qarnon se rengti hui taqwim-e-kaenat
aab-o-gil-o-shuur sar-e-do-jahan adam
la-falsafa nihayat-e-fahm-e-payambari
zauq-e-numu ki hath mein rekhaen dam-ba-dam
kya jaaniye ki kitne baras ka hai ye charagh
tahzib-e-soKHta hai ayagh-e-huruf mein
fikr o KHirad ki bahr o talatum mein kashtiyan
ubhrin kahin to rizq-e-samundar kahin huin
is ehtimam-e-KHwab-e-tahayyur mein main nazhad
tanha khaDa hun apni numaish ke waste
main bhiD ke nawah mein madum aadmi
(946) Peoples Rate This