Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b2b3ab722cf39826e13cab0f9ffdffab, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Jo Tartib Se Bana Hua Main - Iliyas Babar Aawan Poetry In English - Darsaal

Ye Jo Tartib Se Bana Hua Main

ye jo tartib se bana hua main

ek muddat mein rasta hua main

log aate the dekhne mujh ko

aise patthar se aaina hua main

kya KHabar kab nazar mein aa jaun

shor mein ek bolta hua main

ab to pahchan mein nahin aata

teri diwar se juDa hua main

shahr ke bich aa gaya ek din

sahn ke bich dauDta hua main

aap bhi apna shauq farmaen

jaane kitnon ka hun Dasa hua main

sham hoti hai to nikalta hun

us ki palkon se chiKHta hua main

(823) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Jo Tartib Se Bana Hua Main In English By Famous Poet Iliyas Babar Aawan. Ye Jo Tartib Se Bana Hua Main is written by Iliyas Babar Aawan. Read famous Poem Ye Jo Tartib Se Bana Hua Main for youth and Student by Iliyas Babar Aawan. Free Download Ye Jo Tartib Se Bana Hua Main in PDF.