Sirf Aazar UThane Se Kahan Banta Hai
sirf aazar uThane se kahan banta hai
mujh sa uslub zamane se kahan banta hai
aankh ko kaT ke kuchh nok-palak sidhi ki
zawiya sidh mein aane se kahan banta hai
kuchh na kuchh is mein haqiqat bhi chhipi hoti hai
waqia baat banane se kahan banta hai
husn-e-yusuf si koi jins bhi rakkho is mein
warna bazar sajaane se kahan banta hai
is mein kuchh wahshat-e-dil bhi to rakhi jati hai
bagh bas phul ugane se kahan banta hai
rasta banta hai tashkil-e-nazar se 'babar'
KHak ki KHak uDane se kahan banta hai
(771) Peoples Rate This