Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_5e14ff0c076d9b628df6d79f9859640f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
RaKHt-e-gurez Gam Se Aage Ki Baat Hai - Iliyas Babar Aawan Poetry In English - Darsaal

RaKHt-e-gurez Gam Se Aage Ki Baat Hai

raKHt-e-gurez gam se aage ki baat hai

duniya, faqat qayam se aage ki baat hai

tu raste bichha na charaghon se lau tarash

ye ishq ehtimam se aage ki baat hai

in pattharon ke sath kabhi rah ke dekhiye

ye KHamushi kalam se aage ki baat hai

main ne adu ke KHeme mein bheja hai ek charagh

ye ain intiqam se aage ki baat hai

tu aab-o-gil se jism bana, ism mat sikha

'babar' ye tere kaam se aage ki baat hai

(831) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

RaKHt-e-gurez Gam Se Aage Ki Baat Hai In English By Famous Poet Iliyas Babar Aawan. RaKHt-e-gurez Gam Se Aage Ki Baat Hai is written by Iliyas Babar Aawan. Read famous Poem RaKHt-e-gurez Gam Se Aage Ki Baat Hai for youth and Student by Iliyas Babar Aawan. Free Download RaKHt-e-gurez Gam Se Aage Ki Baat Hai in PDF.