Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_7252cb7295dd7d64171d2341e288d979, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hamara Aaina Be-kar Ho Gaya To Phir! - Iliyas Babar Aawan Poetry In English - Darsaal

Hamara Aaina Be-kar Ho Gaya To Phir!

hamara aaina be-kar ho gaya to phir!

tumhaara husn trahdar ho gaya to phir!

mila ke KHak mein wo sochta raha barson

main aaine mein numudar ho gaya to phir!

rukawaTen to safar ka jawaz hoti hain

ye rasta kahin hamwar ho gaya to phir!

wo mahtab hai, main jhil aur safar darpesh

wo mujh se hota hua par ho gaya to phir,

tamam shahr ne lauTa diya hai KHali hath

aur us ke dar se bhi inkar ho gaya to phir!

to kyun na rasta tabdil kar liya jae

kahin jo mujh se tumhein pyar ho gaya to phir!

(996) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamara Aaina Be-kar Ho Gaya To Phir! In English By Famous Poet Iliyas Babar Aawan. Hamara Aaina Be-kar Ho Gaya To Phir! is written by Iliyas Babar Aawan. Read famous Poem Hamara Aaina Be-kar Ho Gaya To Phir! for youth and Student by Iliyas Babar Aawan. Free Download Hamara Aaina Be-kar Ho Gaya To Phir! in PDF.