Kya Jaane Kis Ki Dhun Mein Raha Dil-figar Chand
kya jaane kis ki dhun mein raha dil-figar chand
sangam pe roz-o-shab ke Dhala bar bar chand
aai na raat bhar koi panghaT pe sanwli
pani mein chhup ke baiTha raha be-qarar chand
kirnon ki Doriyon se ulajhte ho kis liye
kuchh bhi na de sakega tujhe dagh-dar chand
bazu ke daere wo mahak chuDiyan khanak
do-sae zard-chandni dhimi pukar chand
suraj tha wo to sham se pahle hi Dhal gaya
nile ufuq pe aur bhi hain be-shumar chand
har roz mere ghar mein utarta hai kis liye
mujh ko bhi apne shahr mein ek din utar chand
basti ke log jaaniye kya sochte rahe
baadal ki chhat pe soya raha sogwar chand
ab chandni ke nam se nafrat si ho gai
'ikram' zindagi ko lage aise chaar chand
(808) Peoples Rate This