Nashat-e-nau Ki Talab Hai Na Taza Gham Ka Jigar
nashat-e-nau ki talab hai na taza gham ka jigar
sukun-girafta ko kaise ho zer-o-bam ka jigar
agarche tishna-nigahi misal-e-sahra hai
nahin hai dast-e-dua ko tere karam ka jigar
jigar ko ishq ne faulad kar diya hai jab
nahin raha hai sitam-kar ko sitam ka jigar
hai iztirab-e-jigar lahr lahr par bhaari
kahan hai bahr ko is tarah pech-o-KHam ka jigar
ye kaam top tapanche ke daere ka nahin
futuh-e-fikr-o-nazar to hai bas qalam ka jigar
hamare mathe mein rakh di hai das ki si sarisht
use KHuda ne diya hai kisi sanam ka jigar
hamari chah mein roi hai zindagi itna
ki pani pani hua ja raha hai sam ka jigar
jigar ka dam hai ki gard-e-zamin se TuTta hai
agarche toD na paya falak bhi dam ka jigar
bas 'azam' aaj to had hi KHumar ne kar di
kahin se ghol ke le aao tair-e-ram ka jigar
(822) Peoples Rate This