Le Chale Ho To Kahin Dur Hi Le Jaana Mujhe

le chale ho to kahin dur hi le jaana mujhe

mat kisi bisri hui yaad se Takrana mujhe

main to is mein bhi bahut KHush hun tera nam to hai

ek jura bhi tere nam ka mai-KHana mujhe

aaj danista taghaful se hun haara hua main

kal talak umr ki sachchai thi afsana mujhe

tu ne bhi man liya logon ka phailaya sach

tu ne bhi jate hue lauT ke dekha na mujhe

ilm ke taur pe sikhe hain mohabbat ke rumuz

tum bina soche hi kah jate ho diwana mujhe

aa meri jaan ke dushman teri tadib karun

tera har war laga ghair dilerana mujhe

ab mujhe tu hi bata donon mein kyun tujh ko chunun

tu ne rakkha na mujhe dard ne chhoDa na mujhe

(1070) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Le Chale Ho To Kahin Dur Hi Le Jaana Mujhe In English By Famous Poet Ikram Azam. Le Chale Ho To Kahin Dur Hi Le Jaana Mujhe is written by Ikram Azam. Read famous Poem Le Chale Ho To Kahin Dur Hi Le Jaana Mujhe for youth and Student by Ikram Azam. Free Download Le Chale Ho To Kahin Dur Hi Le Jaana Mujhe in PDF.