Har Rahat-e-jaan Lamhe Se Uftad Ki Zid Hai
har rahat-e-jaan lamhe se uftad ki zid hai
bedad zamana bhi kisi dad ki zid hai
har KHair kisi shar se baqa-yab hui hai
ye hsun-e-tadul bhi to azdad ki zid hai
ab aankhen bhala kis tarah taqsim kare man
diwaren khaDi karna to aulad ki zid hai
girya nahin maqul ba-yaad-e-kas-e-rafta
lekin ye tamasha dil-e-nashad ki zid hai
main rasta bhula hua pyaada hun mujhe kya
rahbar ko agar jada-e-barbaad ki zid hai
main KHud se nibhane ka rawadar nahin tha
ye pahli mohabbat mere ham-zad ki zid hai
hain fikr ke aasar KHudaon ki jabin par
ek abd-e-ziyan-kar ko ilhad ki zid hai
(948) Peoples Rate This