Zuhur-e-paikri Sahra Mein Hai Sirf Ek Nishan Mera
zuhur-e-paikri sahra mein hai sirf ek nishan mera
ghubar-e-karwan hun dur nikla karwan mera
rasai marg-e-shauq-uftadgi nang-e-tan-asani
bala ki kashmakash hai aur ghubar-e-na-tawan mera
mujhe ghabra ke dosh-e-hasti-e-jawed par phenka
koi dam bhi na uTTha maut se bar-e-giran mera
mere saz-e-nafas ki KHamushi par ruh kahti hai
na aai mujh ko nind aur so gaya afsana-KHwan mera
KHarabi KHanda-zan hai koshish-e-tamir par meri
qafas ko toDta jata hai shauq-e-ashiyan mera
(875) Peoples Rate This