KHirad Ko KHana-e-dil Ka Nigah-ban Kar Diya Humne
KHirad ko KHana-e-dil ka nigah-ban kar diya hum ne
ye ghar aabaad hota is ko viran kar diya hum ne
chhupoge kya digar rang-e-shabistan kar diya hum ne
ki apne ghar ko phunka aur charaghan kar diya hum ne
ghuTe jate the tum mina-e-qalb-e-ahl-e-KHalwat mein
tumhein jam-e-kaf-e-sahra-nashinan kar diya hum ne
anis-e-KHwajgan tum the jalis-e-KHwajgan tum the
magar tum ko nasib kam-nasiban kar diya hum ne
harim-e-naz se tum ko chura lane ke mujrim hain
ye sahra tha ise bhi ku-e-jaanan kar diya hum ne
nazar walo zara chaak-e-gareban dekhte jao
ise chaak-e-naqab-e-ru-e-jaanan kar diya hum ne
zamin KHakistar-e-yak shola-o-yam aab-e-yak-girya
yahi wo aab-o-gil hai jis ko insan kar diya hum ne
jafa se fitrat-e-asudgan tamir ki tum ne
wafa ko qismat-e-ashufta-haalan kar diya hum ne
mata-e-husn mahsusat mein arzan hi rah jati
giran us ko ba-yak taKHail-e-yazdan kar diya hum ne
khanDar mein mah-e-kaamil ka sanwarna is ko kahte hain
tum utre dil mein jab dil ko bayaban kar diya hum ne
amanat mangti thi hum se saman-e-nigah-dari
tumhin ko shahr-e-KHamoshi ka darban kar diya hum ne
(885) Peoples Rate This