Dil Hai Aur KHud Nagri Zauq-e-dua Jis Ko Kahen
dil hai aur KHud nagri zauq-e-dua jis ko kahen
be-KHudi chahiye hum ko ki KHuda jis ko kahen
hum se aabaad hai duniya-e-tasawwur to kya
ki nahin ek wo taswir KHuda jis ko kahen
jurat-e-shauq hai kahte hain mohabbat jis ko
usi jurat pe hai israr-e-wafa jis ko kahen
samajh ai dost use zarb-e-nazar ki aawaz
hum kabhi dil ke dhaDakne ki sada jis ko kahen
qulzum-e-dil na hua aaina-saman ai dost
abhi aa jati hai ek mauj-e-dua jis ko kahen
hai tere kisa-e-pindar mein aisi koi chiz
dil ki betab mohabbat ka sila jis ko kahen
(1147) Peoples Rate This