Tark-e-talluqat Nahin Chahta Tha Main
tark-e-talluqat nahin chahta tha main
gham se tere najat nahin chahta tha main
kab chahta tha teri inayat ki barishen
shadabi-e-hayat nahin chahta tha mein
mujh se tu ai bahisht-e-nazar yun nazar na pher
kya tujh ko ta-hayat nahin chahta tha main
main chahta tha tum se na jitun kabhi magar
kha jaun KHud se mat nahin chahta tha main
guzri hai dil pe kaisi qayamat main kya kahun
nafrat ki kaenat nahin chahta tha main
kya haal ab hai tere taaqub mein ai hayat
tu yun hi aae hat nahin chahta tha main
main chahta tha rah mein kuchh mushkilen magar
har har qadam pe ghat nahin chahta tha main
'raghib' wo meri fikr mein KHud ko bhi bhul jaen
aisi to koi baat nahin chahta tha main
(833) Peoples Rate This