Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_da314a87e95eafad543aa69b14abfc44, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Din Mein Aane Lage Hain KHwab Mujhe - Iftikhar Raghib Poetry In English - Darsaal

Din Mein Aane Lage Hain KHwab Mujhe

din mein aane lage hain KHwab mujhe

us ne bheja hai ek gulab mujhe

guftugu sun raha hun aankhon ki

chahiye aap ka jawab mujhe

waqt-e-fursat ka intizar karun

itni fursat kahan janab mujhe

zoam tha be-hisab chahat hai

us ne samjha diya hisab mujhe

paDhta rahta hun aap ka chehra

achchhi lagti hai ye kitab mujhe

lijiye aur imtihan mera

aur hona hai kaamyab mujhe

koi aisi KHata karun 'raghib'

jis ka milta rahe sawab mujhe

(842) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Din Mein Aane Lage Hain KHwab Mujhe In English By Famous Poet Iftikhar Raghib. Din Mein Aane Lage Hain KHwab Mujhe is written by Iftikhar Raghib. Read famous Poem Din Mein Aane Lage Hain KHwab Mujhe for youth and Student by Iftikhar Raghib. Free Download Din Mein Aane Lage Hain KHwab Mujhe in PDF.