Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_fd4a2c016250937ef27e971207950152, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Chashm-e-tar Ko Zaban Kar BaiThe - Iftikhar Raghib Poetry In English - Darsaal

Chashm-e-tar Ko Zaban Kar BaiThe

chashm-e-tar ko zaban kar baiThe

haal dil ka bayan kar baiThe

tum ne rasman mujhe salam kiya

log kya kya guman kar baiThe

ek pal bhi kahan sukun mila

aap ko jab se jaan kar baiThe

pastiyon mein kabhi gira Dala

aur kabhi aasman kar baiThe

aas ki shama TimTimati rahi

hum kahan haar man kar baiThe

ek pal ka yaqin nahin 'raghib'

ek sadi ka plan kar baiThe

(796) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chashm-e-tar Ko Zaban Kar BaiThe In English By Famous Poet Iftikhar Raghib. Chashm-e-tar Ko Zaban Kar BaiThe is written by Iftikhar Raghib. Read famous Poem Chashm-e-tar Ko Zaban Kar BaiThe for youth and Student by Iftikhar Raghib. Free Download Chashm-e-tar Ko Zaban Kar BaiThe in PDF.