Andaz-e-sitam Un Ka Nihayat Hi Alag Hai
andaz-e-sitam un ka nihayat hi alag hai
guzri hai jo dil par wo qayamat hi alag hai
le jae jahan chahe hawa hum ko uDa kar
TuTe hue patton ki hikayat hi alag hai
pardes mein rah kar koi kya panw jamae
gamle mein lage phul ki qismat hi alag hai
jitna hai samar jis pe wo utna hai KHamida
phaldar daraKHton ki tabiat hi alag hai
bahar se to lagta hai ki shadab hai gulshan
andar se har ek peD ki haalat hi alag hai
har ek ghazal tujh se hi mansub hai meri
andaz mera teri badaulat hi alag hai
kis kis ko bataun ki main buzdil nahin 'raghib'
is daur mein mafhum-e-sharafat hi alag hai
(847) Peoples Rate This