Humse Apne Ganw Ki MiTTi Ke Ghar Chhine Gae

hum se apne ganw ki miTTi ke ghar chhine gae

jis tarah shahri parindon se shajar chhine gae

titliyon ne kaghzi phulon pe Dera kar liya

raste mein jugnuon ke baal-o-par chhine gae

is qadar baDhne lage hain ghar se ghar ke fasle

doston se sham ke paidal safar chhine gae

kale suraj ki ziya se shahr andha ho gaya

KHun mein KHushbu ugane ke hunar chhine gae

aankh aankhon se zabanon se zaban chhini gai

dastan se dastanon ke sharar chhine gae

(1058) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Humse Apne Ganw Ki MiTTi Ke Ghar Chhine Gae In English By Famous Poet Iftikhar Qaisar. Humse Apne Ganw Ki MiTTi Ke Ghar Chhine Gae is written by Iftikhar Qaisar. Read famous Poem Humse Apne Ganw Ki MiTTi Ke Ghar Chhine Gae for youth and Student by Iftikhar Qaisar. Free Download Humse Apne Ganw Ki MiTTi Ke Ghar Chhine Gae in PDF.